Friday, August 21, 2009

Tumaharee Yaad


Jab badal main bijlee chamak jaatee hai
Tou yaad tumaharee aatee hai
Jab sawan ki pahlee boond
Jaltee zameen ko choo letee hai
Tou yaad tumaharee aatee hai

Khiltey phool such kar murjha jatee hain
Patjhar key baad basant jab dastak deta hai
Bahar aapney shabab per aaney ko machal jaatee hai
Tou yaad tumharee aatee h ai

Sardee ki gungunee dhoop jab
Aangane ke deewar per
Dheemey sey aawaj lagatee hai
Tou yaad tumaharee aatee hai

Jaltaa sooraj jab kirnowin key sang
Athkheliyaan kartaa hai
Garam hawa key jhonkey
Pattaoin mey sarsarahat kartey hain
Tou yaad tumharee aatee hai

Subhah ka nikla sooraj
Sham ko thak kar baith jata hai
Taroin key sang khelta chand
Jaab apna safar poora karta hai
Tou yaad tumharee atee hai

Dhadkan ka har layay par
Sansoin ka har taar
Lamkha lamha baar baar
Karta hai yahi pukar
Aab aa bhi jaaoo key
Yad tumharee aatee hai

Friday, August 14, 2009

Yesterday & Tommorw

Yesterday & Tomorrow,
Even though it’s present in my head
I can still remember the same thoughts
And half of the things I said

Tomorrow is in the future
Though I know it’ll bring more pain
Because yesterday is still in my thoughts
And last week is some how still in range

They say move on
& leave the past in the past
But even I forget it all
Would the pain still last?

So yesterday in the past
And the present where I will be
But even with trying to forget
I store it all in my memory




Sunday, August 9, 2009

Jindgee

Khushee key sunhaney pal
khiley hueye gulab bankar
Jindgee mahkaney lagey
Indradhanush key rang
Jindge main rang bharney lagey
Hanstey muskuratey rotey gatey
Jindgee beet rahi thee

Aasman sey eak tarey ki tarah
Sapna tha jo toot gaya
Aansoo bah na sakey
Hansee main simat kar rah gayey

Jeeney ki rah badal gayee
Apnee hansee parayee ho gayee
Rotey huey bhi hansee sajakar
Muskuraty gam dargujar kar gayey

Yahi jindgee hai
Haan yahi meree jindgee hai







Friday, July 31, 2009

Pata hi na Chala


Patriyoun sey gujartee rail
Kanb jeewan main utar gayee
Pata hi na chala

Khawaboin ko banatey, sawartey
Bigartey
Kab nai raah per mur gayee
Pata hi na chala

Khusiyoin key naram haath
Jeewn swarney ko aatur
Mere hathoin key sath kab jur gayey
Pata hi na chala

Hum unhey mahsoos karney ki
Koshish main
Kab khud sey khud ko khotey chaley gayeye
Pata hi na chala

Aapney parayey ka hosh nahin
Hansnay roney main farak nahin
Palkoin per tharey ashk
Kab musurahat main badal gayeye
Pata hi na chala

Wednesday, July 29, 2009

Apradh

Dhoop chaoin ka khel hai jindgee
Barrish ki boondoin ka mel hai jindgee
Chamktee dhoop main barish ka aana
Garjtey badloin main dhoop ka khil jana
Prakartee ka ajab nirala mail hai jindgee

Kya humney kuch jyada chaha tha,
Iss jindgee sey humney…………..
Muskarahat deni chahee ansso lekar …..
Khushi baantne chahee ,
Gamoin ki saugat lekar…………….
Kya yeh galat hai………….

Shayad haan………
Bharosa kiya tou kyun kiya,
Pyar kiya tou paap kiya,
Sapnoein key meley main
Khamoshi kee jubaan banney
Tou nakabiley bardasht aapradh kiya

Anjaney gamoin ko apnana theek nahin
Andkehy ashkoin ko palako per sajanaa theek nahin
Aapnowi key kahwaboin ko apni nighoien main basana theek nahin
Shayad nahin,,,,,,,,,,,yakinan ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,humney na maafil layak apradh kiya……………




Saturday, July 18, 2009

Tumahara Sath

humsafar, humsukhan jab ho sath,
tou sadiayan pal ban jatee hain,
humkadam ka sahara ho paas ,
tou aansoo muskaan main badal jateyey hain......

kab bita pal , kab dhal gaya kal,
subah banee kab shaam,,,
sawanreyey kab raat key haseen pal
khawaboin ki haqueekat ka
silsila raha hai chal.......

eak saath tumahara hai......
har pal hamara hai
khushnawa,,,,,,khushgawar,,,,
kyunki ess dil key paas
sath tumahara hai,,,,,,,,,,,,,


Saturday, July 4, 2009

Shikayat




Tumhein shikayat hai mujhsey
Mujhey shikayat hai jindgee sey
Jindgee ko shikayat hai rishtouin sey
Rishtoin ko shikayat hai sab sey

Kya nahi kiya ,,,,,,,jindgee ko mananey kay leyeyey
Kabhi haans kar
Kabhi chup rah ker
Har rang ko saha hai
Har tasveer ko saraaha hai

kya hai larakpan,,,,,,,,,,alharpan hai kya
yeh tou dil ney kabhi jana nahin
haan eahsas kay hai
iss sey anjan nahin hai

phir bhi
shikayat hai
chup kyu ho
khamosh kyun ho


koi nahin janta