Wednesday, June 16, 2010

Khamosh Muskan

Har eak muskurahat muskan nahi hotee hain
Saath chalney sey koi mushkil aassan nahi hotee hain

Ban tou jatey hain hamasafar raah main
Dushwarioi ko door karkey Saath nibhana
Dukh aur takleef kay katoin ko chun kar
Dilbar kee raah aasan karney sey hi
Sahhi pyar ki pahchan hotee hain

Haath tham kar vadey kar lena
Bahaut hi aasaan hai
Ooncchee neechi raah per chaltey hueue
Larkhratey hueue kadmoin ko sahara dena
Sahi pyar ki pahchan hai

Jindgee main kuch hasil ho janey sey
Hamesha Hamaree jeet nahi hotee
Dooriyan mita dena jindgee main kabhi kabhi
Najdekeeyoin ka doosra naam nahin hotee
Mil to jatey hain do badan bari asaanee say,
lekin phir bhi
Diloin key milney main bhi dushwariayan kam nahin hotee

Kuch kahney key leyey laboin kee jumbeesh jarroree nahin
Khamosh muskan main bhi antheen kahniyan dabee hotee hain