Monday, November 23, 2009

Love Is ...

Love is the greatest feeling,
Love is like a play,
Love is what I feel for you,
Each and every day,
Love is like a smile,
Love is like a song,
Love is a great emotion,
That keeps us going strong,
I love you with my heart,
My body and my soul,
I love the way I keep loving,
Like a love I can't control,
So remember when your eyes meet mine,
I love you with all my heart,
And I have poured my entire soul into you,
Right from the very start

Friday, November 13, 2009

Woh Eak Pal......

jindgee ka ruka hua pal
pal main sadiya gujar gaya

Aakhoin ney sharmana,
Palkoin ko jhuk jana
Hothoin ko muskana
Uss pal ney seekha diya

Sapney sajtey chaley gayey
Apney parayey aur parayey apeny
Rishtoin key arth badaltey chaley gayey

Kuch mil gaya kuch peechey rah gaya
Gujarta har pal eak naya rang
Naya ahsas deta chala gaya
Jab ............
Jindgee ka ruka hua eak pal
Kisi ka sath paa kar
Pal main sadiyan guajar gaya

Friday, October 23, 2009

Kaash

kaash yeh waqt peechey mur jata
tou shayad
tumehy bhi jawab dene ka
eak mauka tou mil pata

unkahey sawaloin ka bojh
kuch tou seeney sey utar jata
tumehy agar jawab deney ka
eak mauka mil jata

na socha tumney
tumaharee khamoshi
toophan see sunaee detee hai
na socha tumney
tumharey na aney ki aahat
har pal dharkan main
sunaee detee hai

kaash key waqt mur jata
tou tumhey bhi
kuch shabdoin ka
aarth samajh main aa jata…………..

Thursday, October 15, 2009

नन्हा दीपक


तिमिर मिटाये नन्हा दीपक
साथ लिए आशा की ज्वाला,
आभा ऐसे फैल रही हैं
धरती अंबर हुआ उजाला
स्वर्णदीप से सजी रंगोली
सुंदरता बिखराती जाए
अँधकार से लड़ कर पग-पग
हमें हमारी राह दिखाए
स्नेह दीप से रोशन हर मन
हर घर मंदिर का हर कोना
अपनापन हर आँगन-आँगन
हर अंजुरी में प्यार का सोना
मेल मिलाप से रौनक दुनिया
खिला-खिला-सा लगे चमन
नन्हा दीपक जले रात भर
इस दीपक को सतत नमन

Saturday, October 3, 2009

Jeeyo tou shaan sey...........


Urtey badal ney murkar kaha ,
Chaltee hawa ney thora sa ruk kar ,
Barastey sawan nay tham kar ,
Chamktey sooraj ney thunak thunak kar ,
Khilkhilatee chandnee ney chamak kar kaha ,

Lahratey jharnowin ney , machal machaltey huey .
Pathreelaey raastoin ney, simatey huey ,
Daurtee bhagtee rahoin ney, theethak kar sochtey huey,
Ghar key daro-diwar ney vihanstey huey,
Dehree-chukhat nay umag kar kaha..

Door shitkij sey dhartee aakash ney ,
Umang bharee awaj main sakha ney ,
Gungunatey muskuratey huey kaha……….
Khilo tou shan sey
Raho tou aan sey
Hansoo tou jaan sey
Jeeyo tou shaan sey.............


Thursday, September 17, 2009

My Friend

We all need someone
To talk to in our life,
A friend to whom we run
In times of stress or strife

A friend who's always there
Throughout the years,
A friend we know will care
And take away our fears.

A friend who's always near,
Waiting for our call,
To wipe away our tears,
And lift us when we fall.

A loving friend indeed,
On whom we can depend
To fulfill our every need -
Thank you, precious friend

Wednesday, September 9, 2009

EAY DOST

Timtimatey tarey jaise sath tumahara
Door bhi ,,,pass bhi
Phool mey khoshboo jaisea racha basa
Sath tumhara
Mahakta hua,,,,,khilta hua

Subhah kid hoop jaisey
Saanjh ke chuahn jaisey
Pahlee barish ki nayee boond jaisey
Basey mahkey jeewan main

Jeewan key sagar ki talhatee main
Palney waley haseen sapnowin ko
Disha deney waley
Devstambh ho jaisey

Bujhee aas main
Jagee pyas main
Udaas man main
Tam ujaas main
Sans bans main
Poori tarah tum samayey
Dost tum hi ho

Saturday, August 29, 2009

The Ways Of Love



occasionally

we will stumble upon Love

an old poem

in a worn leather-bound book

found on the very top shelf

of a cozy book store

a great new song

on the radio while

driving fast on the highway

with the windows rolled down

or running into a dear friend

we didn’t expect to see

just when we needed to

sometimes

it discloses itself to us slowly

when we are weary and in needof something…

…anything

a cluster of primrose

hidden upon the forest floor

a sunset that illumines

the horizon as well as the heart

a gentle smile from a stranger

that seems to understand

more often

Love comes to us softly

barely noticed

like a dandelion seed

carrying a wish

upon the evening breeze

or a poem

whispered at night

from depths of one heart

into the heart of another

Friday, August 21, 2009

Tumaharee Yaad


Jab badal main bijlee chamak jaatee hai
Tou yaad tumaharee aatee hai
Jab sawan ki pahlee boond
Jaltee zameen ko choo letee hai
Tou yaad tumaharee aatee hai

Khiltey phool such kar murjha jatee hain
Patjhar key baad basant jab dastak deta hai
Bahar aapney shabab per aaney ko machal jaatee hai
Tou yaad tumharee aatee h ai

Sardee ki gungunee dhoop jab
Aangane ke deewar per
Dheemey sey aawaj lagatee hai
Tou yaad tumaharee aatee hai

Jaltaa sooraj jab kirnowin key sang
Athkheliyaan kartaa hai
Garam hawa key jhonkey
Pattaoin mey sarsarahat kartey hain
Tou yaad tumharee aatee hai

Subhah ka nikla sooraj
Sham ko thak kar baith jata hai
Taroin key sang khelta chand
Jaab apna safar poora karta hai
Tou yaad tumharee atee hai

Dhadkan ka har layay par
Sansoin ka har taar
Lamkha lamha baar baar
Karta hai yahi pukar
Aab aa bhi jaaoo key
Yad tumharee aatee hai

Friday, August 14, 2009

Yesterday & Tommorw

Yesterday & Tomorrow,
Even though it’s present in my head
I can still remember the same thoughts
And half of the things I said

Tomorrow is in the future
Though I know it’ll bring more pain
Because yesterday is still in my thoughts
And last week is some how still in range

They say move on
& leave the past in the past
But even I forget it all
Would the pain still last?

So yesterday in the past
And the present where I will be
But even with trying to forget
I store it all in my memory




Sunday, August 9, 2009

Jindgee

Khushee key sunhaney pal
khiley hueye gulab bankar
Jindgee mahkaney lagey
Indradhanush key rang
Jindge main rang bharney lagey
Hanstey muskuratey rotey gatey
Jindgee beet rahi thee

Aasman sey eak tarey ki tarah
Sapna tha jo toot gaya
Aansoo bah na sakey
Hansee main simat kar rah gayey

Jeeney ki rah badal gayee
Apnee hansee parayee ho gayee
Rotey huey bhi hansee sajakar
Muskuraty gam dargujar kar gayey

Yahi jindgee hai
Haan yahi meree jindgee hai







Friday, July 31, 2009

Pata hi na Chala


Patriyoun sey gujartee rail
Kanb jeewan main utar gayee
Pata hi na chala

Khawaboin ko banatey, sawartey
Bigartey
Kab nai raah per mur gayee
Pata hi na chala

Khusiyoin key naram haath
Jeewn swarney ko aatur
Mere hathoin key sath kab jur gayey
Pata hi na chala

Hum unhey mahsoos karney ki
Koshish main
Kab khud sey khud ko khotey chaley gayeye
Pata hi na chala

Aapney parayey ka hosh nahin
Hansnay roney main farak nahin
Palkoin per tharey ashk
Kab musurahat main badal gayeye
Pata hi na chala

Wednesday, July 29, 2009

Apradh

Dhoop chaoin ka khel hai jindgee
Barrish ki boondoin ka mel hai jindgee
Chamktee dhoop main barish ka aana
Garjtey badloin main dhoop ka khil jana
Prakartee ka ajab nirala mail hai jindgee

Kya humney kuch jyada chaha tha,
Iss jindgee sey humney…………..
Muskarahat deni chahee ansso lekar …..
Khushi baantne chahee ,
Gamoin ki saugat lekar…………….
Kya yeh galat hai………….

Shayad haan………
Bharosa kiya tou kyun kiya,
Pyar kiya tou paap kiya,
Sapnoein key meley main
Khamoshi kee jubaan banney
Tou nakabiley bardasht aapradh kiya

Anjaney gamoin ko apnana theek nahin
Andkehy ashkoin ko palako per sajanaa theek nahin
Aapnowi key kahwaboin ko apni nighoien main basana theek nahin
Shayad nahin,,,,,,,,,,,yakinan ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,humney na maafil layak apradh kiya……………




Saturday, July 18, 2009

Tumahara Sath

humsafar, humsukhan jab ho sath,
tou sadiayan pal ban jatee hain,
humkadam ka sahara ho paas ,
tou aansoo muskaan main badal jateyey hain......

kab bita pal , kab dhal gaya kal,
subah banee kab shaam,,,
sawanreyey kab raat key haseen pal
khawaboin ki haqueekat ka
silsila raha hai chal.......

eak saath tumahara hai......
har pal hamara hai
khushnawa,,,,,,khushgawar,,,,
kyunki ess dil key paas
sath tumahara hai,,,,,,,,,,,,,


Saturday, July 4, 2009

Shikayat




Tumhein shikayat hai mujhsey
Mujhey shikayat hai jindgee sey
Jindgee ko shikayat hai rishtouin sey
Rishtoin ko shikayat hai sab sey

Kya nahi kiya ,,,,,,,jindgee ko mananey kay leyeyey
Kabhi haans kar
Kabhi chup rah ker
Har rang ko saha hai
Har tasveer ko saraaha hai

kya hai larakpan,,,,,,,,,,alharpan hai kya
yeh tou dil ney kabhi jana nahin
haan eahsas kay hai
iss sey anjan nahin hai

phir bhi
shikayat hai
chup kyu ho
khamosh kyun ho


koi nahin janta

Tuesday, June 23, 2009

Niyatee


Jur kar tootna aur toot kar jurna
Kismet ka khel hai ya
Mera shauk hai yeh
Juri nahi thee
tou jindgee kitnee assan thee
Hansee apnee
They khud key aansoo
Jindgee inkee
kisi per mohtaj nahin thee
Har lamha ……..sirf mere tha
Har pal …………mera humsaya tha

Aur Jindgee jab dossri jur gayee
Tou laga
thandee hava marubhoomi mein bah gayee
ashak kab parayey apney ho gayey
paraey gum sarey kab humsayey ho gayey
pata nahin chala
aab laga
jindgee yun hee beet jayegee

jur kar achank kab toot gayee
pata hi na chala
aansoo bhi hain………..
sanseyin bhi hain………
apney ya parayey
pata hi na chala

sansoin main ugney lagey hain cactus aab
rayteelee ankhoin sey aansoo nahin
lawa hee nikalata hai aab
hansenay aur roney main koi antar nahin
khamoshi main bhi shr sunaee deta hai aab

kyunki
baar baar
jurna aur tootna
niyatee ban gaya hai aab,,,,,,,,,,,,,,


Monday, June 22, 2009

Without you

This night is utterly long
Nothing but deep silence
That speaks your name

And repeats it softly
Again and again
Yet a burning candle in the corner
Burns me within as well

Without you tonight
Eyes weeps calmly
And heart mourns quietly

yet this night
Speaks nothing but silence.

Love,


As I sit here listening as the rain falls

I look at the window raindrops rolling down,

thoughts of you take over my mind.

The comfort it gives me reminds me of times we shared,

times when You and I sat down holding each other

closely and tight, listening to the sound of the waves

rolling softly in and out the shore.

The gentle breeze feels like the touch of your hands

when you caress me, and as I walk beneath the rainy sky

droplets run down my cheek feeling like

tears falling from heaven above,

reminding me of the kisses you laid upon my lips

soothing my soul with its cooling touch.

Embracing me deeper with desires to have you

entwined within me, as the rain falls.

Sunday, May 31, 2009

Apney kaha Tha

Aapney kaha tha,,,,,,,kuch kaho
Kya kahoon , samajh nahin aata
Chup rahoon,,,,raha nahin jata

Lekin
Aap tou khamoshi ki juban samajh letey hain
Aboley shabdoin key aarth bhi jaan leytey hain
Meri kahi unkahee, aapney sunee aur samjhee hai
Band hotoin ki bhasha aapney sunee hai
Tou phir aaj kya hua……..
Jo aap mujhsey karan poochtey hain
Khamosh kyuin hoon,,,janna chahtey hain
Hansee sunaii dee apko
Khanktee awaj mahsoos huee apko
Inmain eak dard hai,,,
Yeh laga apko
Karan nahin pata apko

Koi baat nahin janey dein
Main bhi aab soch liya hai
Khamosh hothoin ki hansee
Jhilmilatee ankhoo ki namii
Yahi aab mere pahchaan hai
Jab hamdard hi dard sey anjan hai
Tou duniya sey koi shikva na shikayat hai
Yahi jaan lein ki
Dard aur taqleef merey jeewansathi hain
Kisi key bhi hissa banney ya bataney ki
eecha ya khawish hai

tou aap bhi poochna band kar dain
ki ,,,,kuch kahoo
kyunki,,,,,,,,,,,,,
mainney hotoin ko see leya hai
dard ko pee leya hia


theek hai na………………….


Thursday, May 7, 2009

Tumhein Pata Hai


Suraj main kiran jaisey
Chand maun chandni jaisey
Tumhey pata hai
Tum samayey ho mujh main waisey

Hawa chura ley phool sey khushboo
Ura dey gulshan sey rang o boo
Tumey pata hai
nahin koi jan sakta tum kahan ho
tum samayay ho mujh main easeyey

tumhey pata hai
pyar kya hai , yeh tumney bataya
kaisy chahtey hain kisis ko
seekha hai mainey tumhi sey

dekha hai
tumhari aankho main dard mera
suna hai
tumahar nihshabad siskana

kisis ko nahi pata hai
jor sey tumhara hasna
tareeka tha apney gam ko chupaney ka
har samay doosroein ki baatein karna
chalawa tha khud sey khud ko
churaney ka

tumehy pata hai
mainey kabhi nahin kaha
main yeh jantee thee
tumharee , hansee, ansoo,
mathey ki shikan , boloin ki choon
ka ahsaas main jantee thee

tumhey pata hai……………
nahin tum nahin jantey
tum nahin jantey , mainey har eak pal tumhey jeeyaa hai
tum nahin jantey , mainey har pal tumahara yakeen kiya hai
shayad tum kabhi nahin jaan sakteey
tumey mainey tum sey hi chura kar
chupaya hai, mujhmey
samaya hai,mujhmey

tumhey pata hai…………………………………


Monday, May 4, 2009

RISHTEY

Rishtey toh hotey hi hain
Tootney key leyeyey
Pal pal main ban jatey hain
Pal main bigad jatey hain
Sadiyoin ka bharma hai
Kachee dor sey bandhey hain
Hotey hi hain tootney key leyey

Na kachey hain
Na pakkey hain
Yeh to man ka bharam hai
Rishtye tou bantey hi hain tootney key leyey

Jo soch ker baney
Woh rishtey nahin hotey
Jo maang kar judey
Who bandhan nahin hotey
Yeh to hotey hi hai
Bin sochey , bin mangey
Judney key leyeyey
Bandhney key leyey

Rishtoin main kabhi fasley nahin hotey
Jahan doori ho, wahan rishtey nahin hotey
Kabhi yaad bankar,
Kabhi aansoo bankar
Hothoin ki muskan bankar
Kabhi dard bankar
Dil main sada rahtey hain
Rishtey , haan yeh rishtey
Kyunki
Rishtey hotey hi hain
Baan kar tootney key leyey

Sunday, April 26, 2009

While there is life there is hope


The night is past,

The sun shin is fast

,And the birds sings,

He open the wings.

He looks to sky,

And carries to fly

,He will plod,

And arrange food.

He goes to granary,

And pluck to berry,

The tiny birds hidden in nest,

And waiting for dose.

The bird came back in nest,

And take to dose tiny birds,

He afraid to coming time,

When will tyrant hunter came.

And when will tree cutter came,

To separate his tiny birds,

And spoiled his nest,

But he is hopeful to enjoy life.

APNI APNI SALEEB

sabko apnee salib khud hi uthanee hai
apney hotion per hansee khud hi sajanee hai
kiskey pas waqt hai
jo apey ansoo poocheeyye
kikey pas waqt hai
jo sath baithkar
sukh dukh bateieyy
tou gum kis baat ka
chalty chalo
dhoop or chaan
baari baari sey mil janee hai
aur usme hum sab ko
apney saleeb khud hi
uthani ha