Tuesday, June 23, 2009

Niyatee


Jur kar tootna aur toot kar jurna
Kismet ka khel hai ya
Mera shauk hai yeh
Juri nahi thee
tou jindgee kitnee assan thee
Hansee apnee
They khud key aansoo
Jindgee inkee
kisi per mohtaj nahin thee
Har lamha ……..sirf mere tha
Har pal …………mera humsaya tha

Aur Jindgee jab dossri jur gayee
Tou laga
thandee hava marubhoomi mein bah gayee
ashak kab parayey apney ho gayey
paraey gum sarey kab humsayey ho gayey
pata nahin chala
aab laga
jindgee yun hee beet jayegee

jur kar achank kab toot gayee
pata hi na chala
aansoo bhi hain………..
sanseyin bhi hain………
apney ya parayey
pata hi na chala

sansoin main ugney lagey hain cactus aab
rayteelee ankhoin sey aansoo nahin
lawa hee nikalata hai aab
hansenay aur roney main koi antar nahin
khamoshi main bhi shr sunaee deta hai aab

kyunki
baar baar
jurna aur tootna
niyatee ban gaya hai aab,,,,,,,,,,,,,,


No comments:

Post a Comment