Friday, July 31, 2009

Pata hi na Chala


Patriyoun sey gujartee rail
Kanb jeewan main utar gayee
Pata hi na chala

Khawaboin ko banatey, sawartey
Bigartey
Kab nai raah per mur gayee
Pata hi na chala

Khusiyoin key naram haath
Jeewn swarney ko aatur
Mere hathoin key sath kab jur gayey
Pata hi na chala

Hum unhey mahsoos karney ki
Koshish main
Kab khud sey khud ko khotey chaley gayeye
Pata hi na chala

Aapney parayey ka hosh nahin
Hansnay roney main farak nahin
Palkoin per tharey ashk
Kab musurahat main badal gayeye
Pata hi na chala

Wednesday, July 29, 2009

Apradh

Dhoop chaoin ka khel hai jindgee
Barrish ki boondoin ka mel hai jindgee
Chamktee dhoop main barish ka aana
Garjtey badloin main dhoop ka khil jana
Prakartee ka ajab nirala mail hai jindgee

Kya humney kuch jyada chaha tha,
Iss jindgee sey humney…………..
Muskarahat deni chahee ansso lekar …..
Khushi baantne chahee ,
Gamoin ki saugat lekar…………….
Kya yeh galat hai………….

Shayad haan………
Bharosa kiya tou kyun kiya,
Pyar kiya tou paap kiya,
Sapnoein key meley main
Khamoshi kee jubaan banney
Tou nakabiley bardasht aapradh kiya

Anjaney gamoin ko apnana theek nahin
Andkehy ashkoin ko palako per sajanaa theek nahin
Aapnowi key kahwaboin ko apni nighoien main basana theek nahin
Shayad nahin,,,,,,,,,,,yakinan ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,humney na maafil layak apradh kiya……………




Saturday, July 18, 2009

Tumahara Sath

humsafar, humsukhan jab ho sath,
tou sadiayan pal ban jatee hain,
humkadam ka sahara ho paas ,
tou aansoo muskaan main badal jateyey hain......

kab bita pal , kab dhal gaya kal,
subah banee kab shaam,,,
sawanreyey kab raat key haseen pal
khawaboin ki haqueekat ka
silsila raha hai chal.......

eak saath tumahara hai......
har pal hamara hai
khushnawa,,,,,,khushgawar,,,,
kyunki ess dil key paas
sath tumahara hai,,,,,,,,,,,,,


Saturday, July 4, 2009

Shikayat




Tumhein shikayat hai mujhsey
Mujhey shikayat hai jindgee sey
Jindgee ko shikayat hai rishtouin sey
Rishtoin ko shikayat hai sab sey

Kya nahi kiya ,,,,,,,jindgee ko mananey kay leyeyey
Kabhi haans kar
Kabhi chup rah ker
Har rang ko saha hai
Har tasveer ko saraaha hai

kya hai larakpan,,,,,,,,,,alharpan hai kya
yeh tou dil ney kabhi jana nahin
haan eahsas kay hai
iss sey anjan nahin hai

phir bhi
shikayat hai
chup kyu ho
khamosh kyun ho


koi nahin janta