Wednesday, July 29, 2009

Apradh

Dhoop chaoin ka khel hai jindgee
Barrish ki boondoin ka mel hai jindgee
Chamktee dhoop main barish ka aana
Garjtey badloin main dhoop ka khil jana
Prakartee ka ajab nirala mail hai jindgee

Kya humney kuch jyada chaha tha,
Iss jindgee sey humney…………..
Muskarahat deni chahee ansso lekar …..
Khushi baantne chahee ,
Gamoin ki saugat lekar…………….
Kya yeh galat hai………….

Shayad haan………
Bharosa kiya tou kyun kiya,
Pyar kiya tou paap kiya,
Sapnoein key meley main
Khamoshi kee jubaan banney
Tou nakabiley bardasht aapradh kiya

Anjaney gamoin ko apnana theek nahin
Andkehy ashkoin ko palako per sajanaa theek nahin
Aapnowi key kahwaboin ko apni nighoien main basana theek nahin
Shayad nahin,,,,,,,,,,,yakinan ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,humney na maafil layak apradh kiya……………




No comments:

Post a Comment