Saturday, May 1, 2010

Badlav! !!

Kahtey hain ..........waqt badal jata hai
nahi.....
waqt nahin badalta
uska rang badal jata hai
waqt ka dard nahin badlata
dard ka ahsas badal jata hai

Rishtey nahin badltey
Rishtoin ka roop badal jata hai
unkey dard hain badltey
dard key ahsasy badal jate hain

kyoin chahta hai yeh dil
sab kuch badal jayey
kyun chahta hai yeh dil
sarey ahsas badal jayein

koi samjhayey isseyey
na dard badleyga.........
na dard ka ahsas
na rishtey badlengey.........
na unka ahsas

phir kyun kaha jata hai!!!!!!!!!!
WAQT BADAL JATA HAI
DARD BADAL JATEY HAIN.......

No comments:

Post a Comment