Sunday, May 31, 2009

Apney kaha Tha

Aapney kaha tha,,,,,,,kuch kaho
Kya kahoon , samajh nahin aata
Chup rahoon,,,,raha nahin jata

Lekin
Aap tou khamoshi ki juban samajh letey hain
Aboley shabdoin key aarth bhi jaan leytey hain
Meri kahi unkahee, aapney sunee aur samjhee hai
Band hotoin ki bhasha aapney sunee hai
Tou phir aaj kya hua……..
Jo aap mujhsey karan poochtey hain
Khamosh kyuin hoon,,,janna chahtey hain
Hansee sunaii dee apko
Khanktee awaj mahsoos huee apko
Inmain eak dard hai,,,
Yeh laga apko
Karan nahin pata apko

Koi baat nahin janey dein
Main bhi aab soch liya hai
Khamosh hothoin ki hansee
Jhilmilatee ankhoo ki namii
Yahi aab mere pahchaan hai
Jab hamdard hi dard sey anjan hai
Tou duniya sey koi shikva na shikayat hai
Yahi jaan lein ki
Dard aur taqleef merey jeewansathi hain
Kisi key bhi hissa banney ya bataney ki
eecha ya khawish hai

tou aap bhi poochna band kar dain
ki ,,,,kuch kahoo
kyunki,,,,,,,,,,,,,
mainney hotoin ko see leya hai
dard ko pee leya hia


theek hai na………………….


No comments:

Post a Comment