Thursday, May 7, 2009

Tumhein Pata Hai


Suraj main kiran jaisey
Chand maun chandni jaisey
Tumhey pata hai
Tum samayey ho mujh main waisey

Hawa chura ley phool sey khushboo
Ura dey gulshan sey rang o boo
Tumey pata hai
nahin koi jan sakta tum kahan ho
tum samayay ho mujh main easeyey

tumhey pata hai
pyar kya hai , yeh tumney bataya
kaisy chahtey hain kisis ko
seekha hai mainey tumhi sey

dekha hai
tumhari aankho main dard mera
suna hai
tumahar nihshabad siskana

kisis ko nahi pata hai
jor sey tumhara hasna
tareeka tha apney gam ko chupaney ka
har samay doosroein ki baatein karna
chalawa tha khud sey khud ko
churaney ka

tumehy pata hai
mainey kabhi nahin kaha
main yeh jantee thee
tumharee , hansee, ansoo,
mathey ki shikan , boloin ki choon
ka ahsaas main jantee thee

tumhey pata hai……………
nahin tum nahin jantey
tum nahin jantey , mainey har eak pal tumhey jeeyaa hai
tum nahin jantey , mainey har pal tumahara yakeen kiya hai
shayad tum kabhi nahin jaan sakteey
tumey mainey tum sey hi chura kar
chupaya hai, mujhmey
samaya hai,mujhmey

tumhey pata hai…………………………………


1 comment:

  1. tum nahin jantey , mainey har eak pal tumhey jeeyaa hai
    tum nahin jantey , mainey har pal tumahara yakeen kiya hai
    is ek yankeein par hi duniya tiki hai....kavita

    ReplyDelete