Monday, May 4, 2009

RISHTEY

Rishtey toh hotey hi hain
Tootney key leyeyey
Pal pal main ban jatey hain
Pal main bigad jatey hain
Sadiyoin ka bharma hai
Kachee dor sey bandhey hain
Hotey hi hain tootney key leyey

Na kachey hain
Na pakkey hain
Yeh to man ka bharam hai
Rishtye tou bantey hi hain tootney key leyey

Jo soch ker baney
Woh rishtey nahin hotey
Jo maang kar judey
Who bandhan nahin hotey
Yeh to hotey hi hai
Bin sochey , bin mangey
Judney key leyeyey
Bandhney key leyey

Rishtoin main kabhi fasley nahin hotey
Jahan doori ho, wahan rishtey nahin hotey
Kabhi yaad bankar,
Kabhi aansoo bankar
Hothoin ki muskan bankar
Kabhi dard bankar
Dil main sada rahtey hain
Rishtey , haan yeh rishtey
Kyunki
Rishtey hotey hi hain
Baan kar tootney key leyey

2 comments:

  1. Bahot hi bhawnapurna kavita !

    Rishtey hote hain tootne ke liye , par rishton ko bhi agar paudhon ki tarah seench kar aur uska khyal kar rakha jai to shayad yeh rishtye bhi lehleha jayein ??

    ReplyDelete
  2. bahut khoob charu...sab jaante hai rishtey jhoote hote hai...parantu un rishto se mila aahsaas kabhi jhoota nahien hota....kavita

    ReplyDelete